shor kuchh kam ho to nind mein uljhi hui sanson ki kahani sunun raushniyon se jhulsi hui sochon ki fariyaad sunun shor kuchh kam ho to dariya ko sunun dard ke khanakte hue jal-tarang ko sunun shor kuchh kam ho to mera saya nahin ho sakta wo ghar jaisa nahin hai to kya mera aasman nahin ho sakta wo pyas jaisa nahin hai to kya mera samundar nahin ho sakta wo dost jaisa nahin hai to kya mera khuda nahin ho sakta suraj ki gardish ko sunun lamhon ke bahte hue sagar ko sunun shor kuchh kam ho to dhup ki sangat mein raqqas hawaon ke sangit ko sunun pyas mein bhigi hui barish ke qatron ko sunun shor kuchh kam ho to bhadakte hue diye ki machalti hui zid ko sunun dil se ubharti hui be-niyaz azan ko sunun shor kuchh kam ho to apne khuda ko sunun