chaaron or khamoshi chaaron or sannata dol udas rassi chup bolna nahin koi unghti fazaon mein qahqaha nahin koi chudiyon ki jhankaren so gai hain jangal mein gagaron ki aawazen kho gai hain jangal mein jagta hua tanha ek kuan andhere mein khamushi ke ghere mein intizar mein jaise hai ki raat dhal jae aur phir ye sannata subh ke usi mithe shor mein badal jae