ruko mohabbat ke khanwade ke shahzade ruko kahan ujlaton mein jaanen luta rahe ho kahan lahu se charagh raushan kiye khade ho ye kaise logon se ‘ahd-e-ulfat nibha rahe ho ye log wo hain jo tere zakhmon ko ghaw kar ke hawaen denge sharar ko khud hi alaw kar ke teri wafa ka junun salamat ho ta-qayamat ye log lekin wafaen bechenge bhaw kar ke suno mohabbat ke khanwade ke shahzade ye dhyan rakhna ki tum se pahle hamein junun tha hamein junun tha ki is qabile mein jaan lutaen hamein junun tha ki wahshaton se sukun banaen wo hum the sahra ko jo samundar bana rahe the wo hum the jo pattharon ko dhadkan sikha rahe the magar ye kufa-mizaj logon ki 'adaten hain imam un ki wafa ki khatir 'alam uthae imam apne lahu se sahra mein rang lae to ye qabila yazid ki saf mein ja rukega tumhi ghalat the tumhi ghalat ho tumhein kahega suno mohabbat ke khanwade ke shahzade ye bewafai ka silsila hai nahin rukega