kunj-e-mohabbat
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
ye sunsan raaten ye thandi hawaen ye phaili hui teri yaadon ki khushbu
ye chup-chap se ped ye gham ke sae ye dil ki kasak ye mohabbat ka jadu
ye sab jagte hain ye sab sochte hain ye sab karwaten le ke hain aah bharte
nai manzilon se nae raston se nae mod se sab ke sab hain guzarte
har ek mod par jaise koi khada ho ishaaron ishaaron mein kuchh kah raha ho
samajh mein na aae koi baat us ki magar jaise chashma sa ek bah raha ho
koi jaise mithe madhur git ke bol maddham suron mein yunhi gungunae
koi jaise tufan dabae ho dil mein kisi se magar phir bhi kuchh kah na pae
kuchh alfaz aise jo yun dekhne mein purane se hain aur kitne hi insan
inhin ke sahaare se kahte rahe hain dilon ki muraden jawani ke arman
ye arman ye aarzuen hamari ye kuchh rasmasate hue phul jaise
jagaen jinhen aa ke jhonke hawa ke jinhen gudguda jaen aa aa ke bhaunre
khizan ki hawaon ke chalne se pahle tapakte hue phul ke ras mein duba
koi git sa bun liya hai bahaaron ne gate hain ab bhi jise bagh-o-sahra
jo kunj-e-mohabbat mein pedon ki chhanti hui chandni ki zaban se hai kahta
kaho aaj ki raat kaisi guzari koi raat ki raat milne bhi aaya

77496 viewsnazm • English