kya jawab dun
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
muskurahat ka padaw
itni unchai pe hoga ye nahin ma'lum tha
qahqahon se tere yarana raha tha is liye
hum kahin samjhe hue baithe the dil mein
muskurana bhi tera aasan hoga
hum ghalat the
aur ab ye soch kar ghabra rahen hain
laut kar yaron ko munh dikhlaenge kya
itni unchai pe hoga ye nahin ma'lum tha
qahqahon se tere yarana raha tha is liye
hum kahin samjhe hue baithe the dil mein
muskurana bhi tera aasan hoga
hum ghalat the
aur ab ye soch kar ghabra rahen hain
laut kar yaron ko munh dikhlaenge kya
74535 viewsnazm • English