charagh itne jalao zamin ke mathe par siyah raat ke aanchal ko nur se bhar do ujala chand sitaron ka mand pad jae falak ki raushni is raushni mein gum kar do ye raat sal mein bas ek bar aati hai is ek raat pe qurban zindagi kar do jala ke apne lahu ke charagh ai logo jahan-jahan bhi andhera hai raushni kar do jo dip jalta hai mandir mein raushni ke liye wahi to sehn-e-haram ko bhi jagmagata hai jo farq hum ne kiya hai rahim-o-ram ke bich usi khalij usi farq ko mitata hai ujala jis ka koi dharm hai na mazhab hai baghair farq sabhi ko gale lagata hai sanam-kada ho haram ho ki bazm-e-mai-khana har ek ke gosha-e-zulmat ko jagmagata hai