landscape

By January 1, 2017
landscape
dur sunsan se sahil ke qarib
ek jawan ped ke pas
umr ke dard liye
waqt ka matiyala dushaala odhe


budha sa pam ka ek ped
khada hai kab se
saikdon salon ki tanhai ke baad
jhuk ke kahta hai jawan ped se yar!


sard sannata hai!
tanhai hai! kuchh baat karo!
12379 viewsnazmEnglish