khelte khelte koi bachcha ek din ek kunen pe ja pahuncha apni surat use nazar aai jhank kar us ne us mein jab dekha kam-samajh aur bewaquf tha wo samjha koi kunen mein hai baitha dar ke bhaga wo apne ghar ki taraf rah mein mil gae use abba bola koi kunen mein baitha hai dekh kar jis ko dar ke main bhaga abba aae kunen pe ghusse mein dekh kar us mein apna hi saya bole jhunjhla ke kyun miyan sahab dadhi rakh kar ye harakat-e-beja ek to bachchon ko tum daraate ho us pe aankhen hamein dikhate ho