lazzat-e-agahi

By January 1, 2017
lazzat-e-agahi
main ajib lazzat-e-agahi se do chaar hun
yahi aagahi mera lutf hai mera karb hai
ki main jaanta hun
main jaanta hun ki dil mein jitni sadaqaten hain


wo tir hain
jo chalen to naghma sunai de
jo hadaf pe ja ke lagen to kuchh bhi na bach sake
ki sadaqaton ki nafi hamari hayat hai


mere dil mein aisi haqiqaton ne panah li hai
ki jin pe ek nigah dalna
surajon ko butun-e-jaan mein utarna hai
main jaanta hun


ki hakimon ka jo hukm hai
wo dar-asl adl ka khauf hai
wo sazaen dete hain
aur nahin jaante


ki jitni sazaen hain
wo sitamgari ki ridaen hain
mujhe ilm hai
yahi ilm mera surur hai ye ilm mera azab hai


yahi ilm mera nasha hai
aur mujhe ilm hai
ki jo zahr hai wo nashe ka dusra nam hai
main ajib lazzat-e-agahi se do-chaar hun


46858 viewsnazmEnglish