chaar bagh station dekho shahr mein ek naya-pan dekho saji sajai dulhan dekho qadam qadam par fashion dekho aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen kitna achchha chidiya ghar hai sher hiran bhaalu bandar hai mor kabutar aur titar hai andar murda ajaib ghar hai aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen hazrat ganj ki sair karaen qaisar bagh ki lat dikhaen aur aminabaad ghumaen sham-e-awadh rangin banaen aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen ye puri up ka dil hai is mein ek chhatar-manzil hai art school lab-e-sahil hai nawa dekhne ke qabil hai aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen chauk nakhkhas husain-abaad golaganj nazirabaad pyar mohabbat mein aazad mard-o-zan shirin farhad aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen aao shahd ismarak dikhaen jhande wale park mein jaen belly-gaurd ko samjhaen medical collage dikhlaen aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen ye sab shahron mein nyara hai nam is ka kitna pyara hai sab ki aankhon ka tara hai amn-o-sukun ka gahwara hai aao tumhein lucknow dikhaen aur yahan ki sair karaen