zulf ki chhanw mein aariz ki tab-o-tab liye lab pe afsun liye aankhon mein mai-e-nab liye har nafas rau mein liye sorish-e-tughyan-e-nihan har nazar shauq ka afsana-e-b-tab liye sehr o ejaz liye jumbish-e-mizhgan-e-daraaz khanda-e-shokh jamal-e-dur-e-khush-ab liye zau-fagan ru-e-hasin par shab-e-mahtab-e-shabab chashm-e-makhmur nashat-e-shab-e-mahtab liye nashsha-e-naz jawani mein sharabor ada jism zauq-e-guhar atlas-o-kamkhwab liye zulf-e-shab-rang liye sandal o ud o ambar kham-e-abru-e-hasin dair ki mehrab liye lab-e-gul-rang-o-hasin jism gudaz-o-simin shokhi-e-barq liye larzish-e-simab liye ek sayyaad-e-khush-andam swad-e-mashriq zulf-e-bangal liye talat-e-punjab liye nuzhat o naz ka ek paikar-e-shadab-o-hasin nikhat-o-nur ka umda hua sailab liye meri waraftagi-e-shauq musallam lekin kis ki aankhen hain zulekha ka hasin khwab liye