chaman ke zarre zarre se sada khushiyon ki aati hai ki aazadi ke naghme aaj bulbul gungunati hai kali khil kar bahaaron ke chaman mein git gati hai chaman kya aaj to sari khudai muskuraati hai bahaar aakar chaman mein ek naya muzhda sunati hai zamana raqs mein hai zindagi khushiyan manati hai diya khun-e-jigar hum ne to gulshan mein bahaar aai bahut muddat ke baad aakhir ye jaan-e-intizar aai dilon ki be-qarari ka yahi le kar qarar aai khusha-qismat chaman mein andalib-e-naghma-bar aai ye aazadi watan mein ek nai duniya basati hai chaman mein ab jidhar dekho jawani muskuraati hai magar ek makhmase mein madar-e-hindostan hai aaj use darkar ahl-e-hind ka azm-e-jawan hai aaj mitana dushmanon ka dahr se nam-o-nishan hai aaj kamar bandhe hue bhaarat ka har pir-o-jawan hai aaj hai wo naghma har ek lab par ki dharti chaunk jati hai teri lalkar se 'rifat' ye duniya thartharaati hai