madari zaban

By kaif-ahmed-siddiquiMay 21, 2021
aaghosh-e-walida mein pala tha hum ko jis ne
ek paikar-e-adab mein dhaala tha hum ko jis ne
jis ne hai ibtida se har zindagi sanwari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari


bachpan mein jis ne mithi lori sunai hum ko
jis ke tufail jhule mein nind aai hum ko
ras gholti hai jis ki aawaz pyari pyari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari


jis ki madad se hum ne apni zaban kholi
jis mein sama gai hai sare jahan ki boli
jis ki har ek sifat hai sau khubiyon pe bhaari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari


jis se mita jahaalat ki raat ka andhera
hindostan mein chamka tahzib ka sawera
hai jis ki raushni ka har ghar mein faiz jari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari


wo 'krishn' hon ki 'bedi' 'chakbast' hon ki 'talib'
'mahrum' hon ki 'haali' 'iqbaal' hon ki 'ghaalib'
sadiyon har ahl-e-mazhab jis ka raha pujari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari


jis ne khulus-e-dil se ai 'kaif' sab ko pala
jis ka har ek ghar mein ab bhi hai bol-baala
dushman ke bhi dilon par hai jis ka khauf tari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari


62675 viewsnazmEnglish