magar ye kah nahin sakta

By baharunnisa-baharOctober 24, 2023
batao jaan-e-jaan mere
ki ghar kab laut aaoge
kabhi wapas na jaoge
abhi to aae the milne


abhi jaane lage ho phir
na jaane kitne shikwe the
tumhein main ne sunane the
kai baaten adhuri thin


jo tum ne mujh se kahni thin
ki tum jaldi mein rahte ho
hamesha hi ye kahte ho
kai sadiyan yahan bitin


kai mausam yahan guzre
tumhaari chahaton mein gum
tumhaari aahaton mein gum
wafa jo mangti ho tum


magar ye jaanti ho tum
mujhe fursat nahin pal ki
ki mujh ko hain bahut se kaam
abhi gardish mein hain ayyam


tumhein bas ek hi dhun
ki main baaten karun tum se
yahi kahta rahun tum se
zamin par main jo aaya hun


wafa teri hi laya hun
tera jiwan-sahaara hun
qasam se main tumhaara hun
zara mujh ko batao na


jahan mein kaun hai aisa
ki sathi pae tum jaisa
to us ka ji nahin chahe
hamesha pyar karne ko


hasin iqrar karne ko
magar main kya karun jaanan
zarurat waqt ki ye hai
kai bandhan nibhane hain


hamein aansu bahane hain
main jab bhi jaane lagta hun
ye puchha mat karo mujh se
batao jaan-e-jaan mere


ki ghar kab laut aaoge
kabhi wapas na jaoge
yahi bas yaad rakkho tum
mera wa'da hai ye tum se


mujhe fursat mili jab bhi
to phir main laut aaunga
magar ye kah nahin sakta
ki wapas phir na jaunga


43234 viewsnazmEnglish