hum amn chahte hain magar zulm ke khilaf gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi zalim ko jo na roke wo shamil hai zulm mein qatil ko jo na toke wo qatil ke sath hai hum sar-ba-kaf uthe hain ki haq fatah-yab ho kah do use jo lashkar-e-baatil ke sath hai is dhang par hai zor to ye dhang hi sahi zalim ki koi zat na mazhab na koi qaum zalim ke lab pe zikr bhi in ka gunah hai phalti nahin hai shakh-e-sitam is zamin par tarikh jaanti hai zamana gawah hai kuchh kor-baatinon ki nazar tang hi sahi ye zar ki jang hai na zaminon ki jang hai ye jang hai baqa ke usulon ke waste jo khun hum ne nazr diya hai zamin ko wo khun hai gulab ke phulon ke waste phutegi subh-e-amn lahu-rang hi sahi
This is a great hindu ke khilaf shayari. True lovers of yaad shayari in hindi for boyfriend will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shayari on aman in hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!