suna raha hun tumhein dastan gandhi ki zamane-bhar se nirali hai shan gandhi ki rahe rahe na rahe is mein jaan gandhi ki na ruk saki na rukegi zaban gandhi ki yahi sabab hai jo wo dil se sab ko pyara hai watan ka apne chamakta hua sitara hai bana tha mast koi aur koi saudai har ek samt thi ghaflat ki jab ghata chhai to us ki aql-e-rasa kaam waqt par aai mariz-e-mulk hai mamnun-e-chaara-farmai nae khayal mein ek ek ka dil asir hua udhar amir hua aur udhar faqir hua jafa-o-jaur ne ki khub apni barbaadi kharab-haal na dil raat kyun hun fariyaadi bana diya tha qafas ka buri tarah aadi magar hai shukr mila hum ko dars-e-azadi zamana kahta hai gandhi mahatma wo hai bashar nahin hai haqiqat mein dewta wo hai jo dil mein yaad hai to lab pe nam us ka hai jo hai to zikr faqat subh-o-sham us ka hai bhalai sab ki ho jis se wo kaam us ka hai jahan bhi jao wahin ehtiram us ka hai uthae sar koi kya sar utha nahin sakta muqable ke liye aage aa nahin sakta kisi se us ko mohabbat kisi se ulfat hai kisi ko us ki hai us ko kisi ki hasrat hai wafa-o-lutf tarahhum ki khas aadat hai gharaz karam hai mudaraat hai inayat hai kisi ko dekh hi sakta nahin hai mushkil mein ye baat kyun hai ki rakhta hai dard wo dil mein wo rashk-e-sham-e-hidayat hai anjuman ke liye wo misl-e-ruh-e-rawan unsur-e-badan ke liye wo ek saghar-e-nau mahfil-e-kuhan ke liye wo khas maslah-e-kul shaikh-o-barahman ke liye lagan use hai ki sab malik-e-watan ho jaen qafas se chhut ke zinat-dah-e-chaman ho jaen jafa-shiar se hota hai bar-sar-e-paikar na pas top na gola na qabze mein talwar zamana taba-e-irshad hukm par tayyar wo pak shakl se paida hain josh ke aasar kisi khayal se charkhe ke bal pe ladta hai khadi hai fauj ye tanha magar akadta hai tarah tarah ke sitam dil par apne sahta hai hazar koi kahe kuchh khamosh rahta hai kahan sharik hain aankhon se khun bahta hai suno suno ki ye ek kahne wala kahta hai jo aabru tumhein rakhni ho josh mein aao raho na be-khud-o-be-hosh hosh mein aao usi ko ghere amir-o-gharib rahte hain nadim-o-munish-o-yar-o-habib rahte hain adab ke sath adab se adib rahte hain nasib-war hain wo bade khush-nasib rahte hain koi batae to yun dekh-bhaal kis ki hai jo us se baat kare ye majal kis ki hai rifah-e-am se raghbat hai aur matlab hai anokhi baat nirali rawish naya dhab hai yahi khayal tha pahle yahi khayal ab hai faqat hai din yahi bas yahi to mazhab hai agar baja hai to 'bismil' ki arz bhi sun lo chaman hai samne do-chaar phul tum chun lo