bapu ne har insan ko insan samjha bahbudi-e-har-fard ko iman samjha injil ko quran ko aur gita ko sine se lagaya unhen yaksan samjha tamir-e-watan se thi mohabbat us ko sachchai ka updesh diya bapu ne takhrib-parasti se thi nafrat us ko parchaar ahinsa ka kiya bapu ne ye desh ka tha ekta-wadi leader qurbani-o-isar ke jazbe ke tufail marghub thi tanzim-e-jamaat us ko chhina hua swaraj liya bapu ne nafrat se bhari aag bujha di us ne tahrik-e-nawa khuli daba di us ne wahshat-zada mahaul-e-siyah mein ai charkh ek shama ukhuwwat ki jalladi us ne