mashriq ka diya gul hota hai maghrib pe siyahi chhati hai har dil san sa ho jata hai har sans ki lau tharraati hai uttar dakhkhin purab pachchhim har samt se ek chikh aati hai nau-e-insan kandhon pe liye gandhi ki arthi jati hai aakash ke tare bujhte hain dharti se dhuan sa uthta hai duniya ko ye lagta hai jaise sar se koi saya uthta hai kuchh der ko nabz-e-alam bhi chalte chalte ruk jati hai har mulk ka parcham girta hai har qaum ko hichki aati hai tahzib jahan tharraati hai tarikh-e-bashar sharmati hai maut apne kate par khud jaise dil hi dil mein pachhtati hai insan wo utha jis ka sani sadiyon mein bhi duniya jan na saki murat wo miti naqqash se bhi joban ke dobara ban na saki dekha nahin jata aankhon se ye manzar-e-ibratnak-e-watan phulon ke lahu ke pyase hain apne hi khas-o-khashak-e-watan hathon se bujhaya khud apne wo shoala-e-ruh pak-e-watan dagh us se siyah-tar koi nahin daman pe tere ai khak-e-watan paigham-e-ajal lai apne us sab se bade mohsin ke liye ai wae-tulu-e-azadi aazad hue us din ke liye jab nakhun-e-hikmat hi tute dushwar ko aasan kaun kare jab khushk hua abr-e-baran hi shakhon ko gul-afshan kaun kare jab shoala-e-mina sard ho khud jamon ko farozan kaun kare jab suraj hi gul ho jae taron mein charaghan kaun kare nashad watan afsos teri qismat ka sitara tut gaya ungli ko pakad kar chalte the jis ki wahi rahbar chhut gaya us husn se kuchh hasti mein teri azdad hue the aa ke baham ek khwab-o-haqiqat ka sangam mitti pe qadam nazron mein iram ek jism-e-nahif-o-zar magar ek azm-e-jawan-o-mustahkam chashm-e-bina masum ka dil khurshid nafas zauq-e-shabnam wo ijz-e-ghurur-e-sultan bhi jis ke aage jhuk jata tha wo mom ki jis se takra kar lohe ko pasina aata tha sine mein jo de kanton ko bhi ja us gul ki latafat kya kahiye jo zahar piye amrit kar ke us lab ki halawat kya kahiye jis sans mein duniya jaan pae us sans ki nikhat kya kahiye jis maut pe hasti naz kare us maut ki azmat kya kahiye ye maut na thi qudrat ne tere sar par rakkha ek taj-e-hayat thi zist teri meraj-e-wafa aur maut teri meraj-e-hayat yaksan nazdik-o-dur pe tha baran-e-faiz-e-am tera har dasht-o-chaman har koh-o-daman mein gunja hai paigham tera har khushk-o-tar hasti pe raqam hai khatt-e-jali mein nam tera har zarre mein tera mabad har qatra tirath dham tera us lutf-o-karam ke aain mein mar kar bhi na kuchh tarmim hui is mulk ke kone kone mein mitti bhi teri taqsim hui tarikh mein qaumon ki ubhre kaise kaise mumtaz bashar kuchh mulk ke takht-nashin kuchh takht-falak ke taj-basar apnon ke liye jam-o-sahba auron ke liye shamshir-o-tabar nard-e-insan tapti hi rahi duniya ki bisat-e-taqat par makhluq khuda ki ban ke sipar maidan mein dilawar ek tu hi iman ke payambar aae bahut insan ka payambar ek tu hi bazu-e-farda ud ud ke thake teri rifat tak ja na sake zehnon ki tajalli kaam aai khake bhi tere hath aa na sake alfaz-o-mani khatm hue unwan bhi tera apna na sake nazron ke kanwal jal jal ke bujhe parchhain bhi teri pa na sake har ilm-o-yaqin se baala-tar tu hai wo sipehr-e-tabinda sufi ki jahan nichi hai nazar shair ka tasawwur sharminda pasti-e-siyasat ko tu ne apne qamat se rifat di iman ki tang-khayali ko insan ke gham ki wusat di har sans se dars-e-aman diya har jabr pe dad-e-ulfat di qatil ko bhi gar lab hil na sake aankhon se dua-e-rahmat di hinsa ko ahinsa ka apni paigham sunane aaya tha nafrat ki mari duniya mein ek prem sandesa laya tha us prem sandese ko tere sinon ki amanat banna hai sinon se kudurat dhone ko ek mauj-e-nadamat banna hai us mauj ko badhte badhte phir sailab-e-mohabbat banna hai us sail-e-rawan ke dhaare ko is mulk ki qismat banna hai jab tak na bahega ye dhaara shadab na hoga bagh tera ai khak-e-watan daman se tere dhulne ka nahin ye dagh tera jate jate bhi to hum ko ek zist ka unwan de ke gaya bujhti hui sham-e-mahfil ko phir shoala-e-raqsan de ke gaya bhatke hue gam-e-insan ko phir jada-e-insan de ke gaya har sahil-e-zulmat ko apna minar-e-darakhshan de ke gaya tu chup hai lekin sadiyon tak gunjegi sada-e-saz teri duniya ko andheri raaton mein dhaaras degi aawaz teri