shab-e-asia ke andhere mein sar-e-rah jis ki thi raushni wo gauhar kisi ne chhupa liya wo diya kisi ne bujha diya jo shahid-e-zauq-e-hayat ho use kyun kaho ki wo mar gaya use yun hi rahne do hashr tak ye janaza kis ne utha diya teri zindagi bhi charagh thi teri garm-e-gham bhi charagh hai kabhi ye charagh jala diya kabhi wo charagh jala diya jise zist se koi pyar tha use zahr se sarokar tha wahi khak-o-khun mein pada mila jise dard-e-dil ne maza diya jise dushmani pe ghurur tha use dosti se shikast di jo dhadak rahe the alag alag unhen do dilon ko mila diya jo na dagh chehra mita sake unhen todna hi tha aaina jo khazana lut sake nahin use rahzanon ne luta diya wo hamesha ke liye chup hue magar ek jahan ko zaban do wo hamesha ke liye so gae magar ek jahan ko jaga diya