mahatma-gandhi

By ravish-siddiqiNovember 14, 2020
musafir-e-abadi ki nahin koi manzil
yahan qayam kiya ya wahan qayam kiya
teri wafa ne bade marhale kiye aasan
farogh-e-subh ko to ne farogh kaam kiya


sanam-kadon mein badha e'tibar-e-ahl-e-haram
haram ne dair-nashinon ka ehtiram kiya
hayat kya hai mohabbat ki aag mein jalna
ye raaz bhi tere soz-e-wafa ne aam kiya


utha utha ke hijabaat-e-chehra-e-manzil
musafiran-e-sadaqat ko tez-gam kiya
guzar ke danish-e-hazir ke aasmanon se
buland sadgi-e-ishq ka maqam kiya


mila jo dast-e-hawadis se zahr bhi tujh ko
bade khulus se tu ne sharik-e-jam kiya
wo dard teri khamoshi mein tha nihan jis ne
sukut-e-naz ko aamada-e-kalam kiya


sila tha teri riyazat ka subh-e-azadi
wo subh jis ko ghulamon ne nang-e-sham kiya
abhi to gosh-bar-awaz thi bhari mahfil
kahan ye tu ne kahani ka ikhtitam kiya


khayal-e-dost ka partaw thi kaenat teri
isi talash mein gum ho gai hayat teri
42625 viewsnazmEnglish