mahatma gandhi
By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
ai faqir-e-nim-uryan ai watan ke pasban
manzil-asuda hua tere karam se karwan
rashk-e-sad-shamshir tha tera asa-e-be-zarar
us ke dar se kanpte the samraji hukmran
sehr tha tera takallum moajiza tera sukut
teri har tahrir mein tha ghaib ka farman nihan
qaum ki murda ragon mein tu ne daudaya lahu
hindiyon ki past himmat ko kiya phir se jawan
tha khizan ka daur-daura khema-zan sayyaad the
tere dam se ban gaya sehn-e-chaman rashk-e-jinan
hind kya teri badaulat asia bedar hai
ek duniya manti hai tera ehsan-e-giran
thi farishton se bhi bartar pak-damani teri
nur-e-baatin se tere raushan hue kaun-o-makan
aadmi ne tujh se sikha ihtiram-e-admi
ghairiyat ka hind se tu ne mita dala nishan
do-jahan mein aadmi ka bol-baala kar diya
aadamiyyat ke liye qurban kar ke naqd-e-jaan
hum ko teri rahnumai ki zarurat thi abhi
aur udhar takte the teri rah ahl-e-asman
ek sitam tha rahi-e-mulk-e-adam hona tera
gham se sar pita zamin ne khun roya aasman

11090 viewsnazm • English