mahaul banane wale jumle

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
aadha cigarette pi kar phenk diya main ne
us ke hisse ka
jis ke gham mein sunta hun
duniya ko main ne chhod diya


aur main khamoshi se baitha soch raha hun
ye duniya bhi kaun si duniya mein jiti hai
duniya chhod di main ne
aur khud mujh ko ye ma'lum nahin hai


ye bhi sunne mein aaya hai
jab se us ki maut hui hai
gum-sum hun main
dur khala mein jaane kya takta rahta hun


dur khala mein takna kya achchha jumla hai
mujh ko bhi achchha lagta hai
kahne walon ko to aur ziyaada achchha lagta hoga
jhut hai sab kuchh


lekin kyon tardid karun main
yahi to wo jumle hain jo mahaul banae rakhte hain kuchh
warna sachchi baat to ye hai
koshish kar ke aankhon ko nam rakhna


shawe badhae rakhna
ye bhi ek tarah ka sukh hai
mujhe to us ki maut se badh kar
us ke gham ki maut ka dukh hai


74127 viewsnazmEnglish