tabiat jabriya taskin se ghabrai jati hai hansun kaise hansi kam-bakht tu murjhai jati hai bahut chamka raha hun khal-o-khat ko sai-e-rangin se magar pazhmurdagi si khal-o-khat par chhai jati hai umidon ki tajalli khub barsi shisha-e-dil par magar jo gard thi tah mein wo ab tak pai jati hai jawani chhedti hai lakh khwabida tamanna ko tamanna hai ki us ko nind hi si aai jati hai mohabbat ki nigun-sari se dil duba sa rahta hai mohabbat dil ki izmehlal se sharmai jati hai faza ka sog utra aa raha hai zarf-e-hasti mein nigah-e-shauq ruh-e-arzu kajlai jati hai ye rang-e-mai nahin saqi jhalak hai khun-shuda dil ki jo ek dhundli si surkhi ankhdiyon mein pai jati hai mere mutrib na de lillah mujh ko dawat-e-naghma kahin saz-e-ghulami par ghazal bhi gai jati hai