mahawir

abr-e-gauhar-bar ban kar hind mein aaya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu

saty bhaarat mein muni ji runuma tum se hua
aur ahinsa se zamana aashna tum se hua

jab tumhaare dushmanon ko kuchh gila tum se hua
ram sare ho gae jab samna tum se hua

sare aalam par misal-e-rang-o-bu chhaya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu

main bhula sakta nahin aalam teri taswir ka
us ne to naqsha badal dala meri taqdir ka

main hun qail 'wir' ka aur 'wir' ki tanwir ka
kitna dil-afroz hai halqa teri zanjir ka

jalwa-e-haq ka wo ek be-laus sarmaya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu

ab jahan mein chaar-su insan-kushi ka daur hai
ab zamane ki faza ka rang hi kuchh aur hai

aaj ke insan ka kitna nirala taur hai
zahiri kuchh aur hai aur baatini kuchh aur hai

khak-e-pak-e-hind ka ganj-e-giran-maya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close