main bach gai man main bach gai man tere kachche lahu ki mehndi mere por por mein rach gai man main bach gai man gar mere naqsh ubhar aate wo phir bhi lahu se bhar jate meri aankhen raushan ho jati to tezab ka surma lag jata satte-watte mein bat jati be-kari mein kaam aa jati har khwab adhura rah jata mera qad jo thoda sa badhta mere bap ka qad chhota padta meri chunari sar se dhalak jati mere bhai ki pagdi gir jati teri lori sunne se pahle apni nind mein so gai man anjaan nagar se aai thi anjaan nagar mein kho gai man main bach gai man main bach gai man