main hun

By narayan-das-puriJanuary 22, 2022
hujum-e-arzu hai aur main hun
kisi ki justuju hai aur main hun
udhar hai aaqibat ki fikr ghaalib
idhar jam-o-subu hai aur main hun


hua hai shauq-e-baada jab se mujh ko
usi ki guftugu hai aur main hun
zaban par hain mohabbat ke tarane
kanar-e-abju hai aur main hun


umid-e-rahmat-e-haq hai wagarna
gunah ki meri khu hai aur main hun
haqiqat gul ki khulti bhi to kaise
hijab-e-rang-o-bu hai aur main hun


kitabon ne sikhaya khak mujh ko
khayal-e-ma-o-tu hai aur main hun
chala main do qadam rah-e-mohabbat
ki charcha ku-ba-ku hai aur mein hun


zara tham tham ke chal ai baad-e-hasrat
charagh-e-arzu hai aur main hun
wo shayad mere hi dil mein nihan ho
ki jis ki justuju hai aur main hun


40065 viewsnazmEnglish