main kya banunga

By abdul-mateen-niyazFebruary 3, 2021
jo hai baat sachchi wo tum se kahunga
bada ho ke yaro suno kya banunga
main neta banunga na daulat ke bal par
chalunga hamesha hi rah-e-amal par


na chhodunga main aaj ka kaam kal par
sada be-gharaz desh sewa karunga
bada ho ke yaro suno kya banunga
sipahi banunga magar shanti ka


sabaq dunga main pyar ka dosti ka
sanwarunga sara chaman zindagi ka
main kanton mein bhi phul ban kar khilunga
bada ho ke yaro suno kya banunga


kabhi seth ban kar na lunga ghulami
karunga na mazdur se bad-kalami
na zalim ko dunga kabhi main salami
ki main sach ki khatir har ek dukh sahunga


bada ho ke yaro suno kya banunga
ye byopariyon ke farebon ke phande
ye daulat ki khatir milawat ke dhande
dukhi kar rahe hain ye lalach ke bande


unhen to sazaen main de kar rahunga
bada ho ke yaro suno kya banunga
na motor na bangle na koi khazana
mujhe chahiye pyar ka ek tarana


likhunga main insaniyat ka fasana
main insan ban kar jahan mein rahunga
bada ho ke yaro suno kya banunga
56840 viewsnazmEnglish