main mazi nahin hun
By syed-fazlul-mateenOctober 4, 2023
main kab tak
yunhi khandani shujaat sharafat ki tarikh rakhta rahunga
yunhi apne aslaf ki shan-o-shaukat ki baaten karunga
main mazi nahin hun
main apne mein maujud jita raha hun
main apne qadam ki sulagti zamin par hi chalta raha hun
zamane ki bhatti mein tapta raha hun
mere waqt ne mujh ko kundan banaya
main jo kuchh hun main hun
abhi koi guzra hua pal nahin hun
main maujud hun haal se mera rishta rahega barabar
main mazi nahin hun
main hun ahd-e-hazir
main apne zamane ki tarikh hun khud
mera zikr hi tazkira haal ka hai
mujhe apni baaten sunani hain sab ko
sunaunga ab main
suna kar rahunga

71960 viewsnazm • English