main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai mujhe jis ne bakri bana diya wo to bhediya koi aur hai kai sardiyan bhi guzar gain main to us ke kaam na aa saka main lihaf hun kisi aur ka mujhe odhta koi aur hai mujhe chakkaron mein phansa diya mujhe ishq ne to rula diya main to mang thi kisi aur ki mujhe mangta koi aur hai main tanga raha tha munder par ki kabhi to aaega sehn mein main tha muntazir kisi aur ka mujhe ghurta koi aur hai sar-e-bazm mujh ko utha diya mujhe mar mar lita diya mujhe marta koi aur hai wale hanpta koi aur hai mujhe apni biwi pe fakhr hai mujhe apne sale pe naz hai nahin dosh donon ka is mein kuchh mujhe dantta koi aur hai main to phent phent ke phat gaya main phata hua wahi tash hun mujhe khelta koi aur hai mujhe phentta koi aur hai mere rob mein to wo aa gaya mere samne to wo jhuk gaya mujhe lat kha ke hui khabar mujhe pitta koi aur hai hai ajab nizam zakat ka mere mulk mein mere des mein ise katta koi aur hai ise bantta koi aur hai jo garajte hon wo baraste hon kabhi aisa hum ne suna nahin yahan bhunkta koi aur hai yahan katta koi aur hai ajab aadmi hai ye 'qasmi' ise be-qusur hi jaaniye ye to dakiya hai janab-e-man ise bhejta koi aur hai