main sita hun
By shakeel-azmiJanuary 5, 2024
pati ke sath mein
banwas mein rahna muqaddar hai mera
koi rawan meri kutiya mein bhakshak ban ke aae
dhoka de mujh ko
utha le jae mujh ko meri duniya se
bichhad jaun main apnon se
bacha kar dushmanon se dharm bhi
maryaada bhi
zinda rakhun khud ko
parae des mein apne pati ka rasta dekhun
kate har pal mera sadiyon ke jaisa
mere dukh ko samajhne ki kisi ko kya zarurat hai
bhale main ram ki patni hun lekin hun to aurat hi
ye jo samman hai is se mujhe niche utaro
mujhe agni pariksha se guzaro

46435 viewsnazm • English