main teri mohabbat se na-umid to nahin hun
By kanwal-pradeep-mahajanFebruary 27, 2024
is khamushi se shab ki
jab sochta hun tujh ko
ek shor mere andar uthta hai
aur mujh ko
rah rah ke sujhata hai
tu bhul gai mujh ko
mujh hi ko bhul baithi
jo 'aks hai tera hi
jo rup hai tera hi
tujh hi se munsalik hai
jis ki tamam duniya
tujh hi pe jis ne samjha
ab khatm tajassus hai
us ko hi bhul baithi
jis ne tere bahane
ta'mir kiye khwabon ke shish-mahal kitne
ye khwab itni jaldi tutenge kya khabar thi
lekin nahin
abhi to aaghaz-e-mohabbat hai
shab-e-hijr ki udasi
ye iztirab-e-paiham
ye daimi nahin hai
tanhaiyon ka mausam
ab hai to phir nahin hai
dasht-e-firaq hai to bazm-e-visal bhi hai
main teri mohabbat se naumid to nahin hun
jab sochta hun tujh ko
ek shor mere andar uthta hai
aur mujh ko
rah rah ke sujhata hai
tu bhul gai mujh ko
mujh hi ko bhul baithi
jo 'aks hai tera hi
jo rup hai tera hi
tujh hi se munsalik hai
jis ki tamam duniya
tujh hi pe jis ne samjha
ab khatm tajassus hai
us ko hi bhul baithi
jis ne tere bahane
ta'mir kiye khwabon ke shish-mahal kitne
ye khwab itni jaldi tutenge kya khabar thi
lekin nahin
abhi to aaghaz-e-mohabbat hai
shab-e-hijr ki udasi
ye iztirab-e-paiham
ye daimi nahin hai
tanhaiyon ka mausam
ab hai to phir nahin hai
dasht-e-firaq hai to bazm-e-visal bhi hai
main teri mohabbat se naumid to nahin hun
33099 viewsnazm • English