main urdu zaban hun mujhe aaryaon ne pala meri asl hindostan hai ki mere lahu se hi wedon ki aayat likkhi gai hain ye ram aur sita ki azmat ke qisse ramayan-kathaen krishan aur radha ke rangin fasane har ek lafz ki ruh naghma-sara hai main urdu zaban hun wo gautam ki jis ne mohabbat ki paighambari se jahannam ko jannat banaya magar kis zaban mein zara sochiye kis zaban mein wo pali jo mere gharane ki pali hui thi main urdu zaban hun mujhe dekhna chahte ho to aao ajanta elora ke ghaaron mein dekho ye main hun mera husn meri kashish hai abad tak mujhe dekhna chahte ho to aao ashoka ki laton mein kanda huruf-e-muqaddas mein dekho ye main hun sadaqat adalat ki tahrir-e-mohkam main urdu zaban hun mohabbat ki man-mohni dastan hun meri wusaten be-karan hain ye uttar ye dakhkhin ye purab ye pachchhim har ek samt mere nishan hain deccan jo kabhi rang-o-harf-o-ada aur chang-o-sada se bana ek qaus-e-quzah tha tumhein kuchh khabar hai wo kya silsila tha muarrikh se puchho wo mera hi jadu mera moajiza tha main 'khusraw' ki pyari 'wali' ki niyari 'quli' ki dulari khuda-e-sukhan 'mir' ke soz-e-pinhan ki main raazdan hun wo diwan-e-ghaalib wo shahkar-e-takhliq-e-adam magar us ka har sher kahta hai paiham main urdu zaban hun wo 'iqbaal' jo azmat-e-adamiyyat ka paighambar hai lahu ke jumud aur dil ke taghaful ka jo nauhagar hai wo jis ki nazar baal-e-jibril ki ham-safar hai wo jis ki sada khwab-e-ghaflat mein bad-mast insaniyat ke liye ek bang-e-dara hai wo jis ki khudi daur-e-hazir ki firauniyat ke liye bahr-e-qulzum ke sahil pe zarb-e-kalimi ki nemul-badal hai wo jis ne dayar-e-ghazal se lab-o-ariz-o-zulf jaise anasir ko bahar nikala wo 'iqbaal' bhi meri zulfon ka qaidi raha hai main urdu zaban hun wo 'azad' aazadi-e-hind ka ek aashiq wo 'azad' jis ki fughan soz-o-masti wo 'azad' jis ki sada saz-e-hasti wo 'azad' jis ka sukhan qaul-e-faisal magar qaul-e-faisal ka ye faisla hai main urdu zaban hun main tarikh-o-tahzib-e-hindostan hun main hindostani hun rashk-e-jahan hun jahan-e-mohabbat ki main pasban hun magar pasban-e-watan mujh ko ghaddar kahne lage hain to ghaddar kahne ka matlab musalman hun main bhi musalman yani ki dahshat jihaalat ghalazat ki pahchan hun main ye pahchan meri ajab saneha hai magar saneha madar-e-hind ka hai ye mera nahin hai main kuchh bhi nahin hun mujhe aaryaon ne pala meri asl hindostan hai main hindostani hun hindostan hun magar mere ahl-e-watan mujh ko ghaddar kahne lage hain ba-zahir to hai garche ye meri zillat magar asl mein madar-e-hind ki hi ye ismat-dari hai main urdu zaban hun mujhe aaryaon ne pala meri asl hindostan hai