ye ghar bahut azim tha ye ghar bahut hasin tha ki us ke ird-gird dur dur tak koi makan us se badh ke tha nahin magar yahan ka chakh ajab riwaj tha the bin-bulae ajnabi ki jin ka ghar pe raj tha saje sajae kamre un ke shab-kade wo sabz lawn phul ki kiyariyan wasia sahn-o-saiban the un ke waste magar khud apne ghar mein ajnabi makin chaukhaton pe raaten apni katte rahe sadak gali ki khak chhante rahe wo bin-bulae ajnabi gadele bistaraon pe lazzat-e-shab-o-sahar mein mast mast the usi tarah na jaane kitni umr katne ke baad rafta rafta sakht-o-sard chaukhaton ne narm-o-garm bistaraon ki gudgudi ka zaiqa samajh liya dimagh-o-dil ki khushk wadiyon mein aarzu ke aabshaar gunguna uthe siyah-bakht raat shuur ke junun-e-shauq ke charagh jal gae charagh se kai charagh jal gae ba-yak zaban chaukhaton se ye mutalba hua ki ajnabi hamare ghar ko chhod den ye ghar hamare khun aur hamari haddiyon se hai ye baat sun ke shab-kade laraz gae thi chaunkne ki baat hi ki sal-khurda andhi chaukhaton pe raushni kahan se aa gai gali ki khak aasman pe abr ban ke chha gai kahan se zehn-e-na-rasa mein baat aisi aa gai wo ajnabi nawazishon inayaton se un ka josh sard jab na kar sake to nit-nai sazaon aur dhamkiyon gali gali lahu lahu sadak sadak dhuan dhuan magar junun-e-shauq ki sada zamin se aasman sazaen sakht thin magar mutalba aziz tha nawazishen inayaten sazaen aur dhamkiyan sada-e-haq junun-e-shauq damanon ki dhajjiyan muqabla bhi khub tha kahan zamin-e-hirs aur kahan junun ka aasman maal-e-kashmakash wahi hua jo hona chahiye wo ajnabi chale gae makin apne ghar ko pa ke apne ghar ko pa ke apne ghar mein aa gae wo ghar ke jis ke waste laga di apni jaan bhi jo mil gaya to yun hua ki jaise kuchh nahin hua ajib majra hai ab junun-e-ishq ne charagh-e-arzu jalae the usi ki tez lau se ye makin apne ghar ko shauq se jala rahe hain sabz lawn mein kyariyon ke phul apne panw se kuchh rahe hain saeban ke sutun dha rahe hain al-gharaz jo aaj ghar ka haal hai hamare pas lafz hi nahin ki hum bayan karen jo sach kaho to aaj bhi ye ghar bahut hasin hai makin hi ajib hain bade hi bad-nasib hain