man ji

By omainuz-zahra-sayyadSeptember 28, 2023
kaise pukarun ki meri pukar ka jawab aae
samaaten banjar
aur sada bewa ho gai
muddat hui


aap ki aawaz ko is taraf
aur meri sada aap tak pahunche
meri to halki si aahat bhi sun leti thin
ab siskiyon ki aawaz nahin suntin


main thak jati
to aap ki god
fauran thakan ka ehsas tak jazb kar leti thi
sare zamane ke phul aur itr


mil kar bhi
aap ki khushbu nahin bana sake
man ji
aap jaanti thin na


betiyan man ke baghair adhuri hoti hain
aur aap mujhe adhura kar gain
aap ko pata hai
main baba jaan ke sath jahan bhi jaun


ab
koi safar mukammal nahin hota
main chahun bhi to
aap ke baghair mukammal nahin ho pati


man ji
jab aap ne aakhiri bar mujhe kaha tha
beta sab kuchh tere hawale
to jaanti hain


usi lamhe meri kul kaenat lut gai
wo sham phir sham-e-ghariban bani
aap ki saunpi tamam zimmedariyan ada kar rahi hun
lekin


suniye na man ji
ye thakan kaise utregi
teri god ka nemul-badal banana
khuda ki mashiyyat mein na tha


13836 viewsnazmEnglish