man ka hona

By zia-zameerNovember 30, 2020
ghutnon ki pida mein jag ke sone wali man
insulin ki goli se khush hone wali man
silwati hathon se kapdon ko dhone wali man
papa ki ek dant se ghut kar rone wali man


bachchon se chhup chhup kar rona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
papa ki intelligency tum par bhaari hai
lekin tum ne prem ki ganga ghar mein utari hai


bandhna ghar ko ek dhage mein kitna bhaari hai
is mein tumhaari sarf tumhaari hi hoshiyari hai
tum ko hai malum pirona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai


dakiyanusi kah kar bitiya tum par hansti hai
tum ko nahin malum ki phabti tum par kasti hai
sidhi aurat ki bhi upadhi tum ko dasti hai
aur tumhaari us ghar mein hi duniya basti hai


chhat diwaren kona kona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
chhoti si tankhwah mein kaise karne hain sab kaam
kabhi nahin milta hai tum ko mehnat ka inam


aur nahin hota hai jag mein kabhi tumhaara nam
dharti-man ke jaise tum bhi karti nahin aaram
tum ko kya malum ki sona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai


89417 viewsnazmEnglish