un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae ab ke sawan mein aane ka un ne wachan diya tha tar-e-ashk se hum ne ab tak man ka chaak siya tha meri aasha ari sakhi bujhta sa ek diya tha ek baras hone ko aaya shyam na ab tak aae un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae sans ruka sine mein jab main bhule se muskai rote rote phail gai hai kajal ki kajrai aisa jina bhi jina hai main dukhiya ghabrai baaten karte karte ab aawaz meri tharrai un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae maut hai mere karan jina itne hain afkar lakh bhulaya phir bhi wo yaad aae baram-bar ghair pe kya apne par mera raha nahin adhikar koi ye samjhae mujh ko kaun mujhe samjhae un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae aao piritam pyare aao sun lo ji ke bain bit gaya hai din tadpan ka aai dukh ki rain nabzen ruk ruk si jati hain chhalak pade hain nain dol rahi hai man ki nayya aur aansu bhar aae un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae