man

By nazir-fatehpuriMay 13, 2022
chahaton ka dariya man
aur khud hai tishna man
zer-e-pa tere jannat
azmaton ki duniya man


zahmaton ki nagri mein
rahmaton ka saya man
dukh ke sakht jangal mein
sukh ka narm gosha man


khar-zar basti mein
phul ka do-shaala man
talkhiyon ke mausam mein
pyar ka batasha man


hai dulai sapnon ki
nind ka bichhauna man
hai kitab shafqat ki
harf hai dua ka man


titliyon ka bachpan hai
phul sa hai chehra man
chup hai sare dukh sah kar
sabr ka namuna man


bakhsh de khata meri
main hun tera beta man
yaad aa gaya bachpan
mera ruth jaana man


aur phir mohabbat se
wo tera manana man
man 'nazir' man hai bas
achchhi aur buri kya man


21954 viewsnazmEnglish