man tere bina ab mujhe aaram nahin hai lagta hai ki duniya se koi kaam nahin hai gulshan ki bahaaron mein tujhe dhund raha hun aakash ke taron mein tujhe dhund raha hun lakhon mein hazaron mein tujhe dhund raha hun tujh jaisa magar koi bhi gulfam nahin hai puri na ho hai kaun si insan ki zarurat laut aata hai iman palat aati hai daulat duniya mein muqarrar hai har ek chiz ki qimat man teri mohabbat ka koi dam nahin hai man yaad teri dil se bhulai nahin jati surat teri aankhon se hatai nahin jati dil ki wo tadap hai ki dabai nahin jati khali teri yaadon se koi sham nahin hai pardes mein ab kaun tujhe yaad karegi khat likkhegi na likkhun to fariyaad karegi dhamkaegi mujh ko to kabhi shad karegi man kya hua ab kyun tera hangam nahin hai