mar ke wo zindon mein shamil ho gaya muddaton se sara ghar bechain tha raat din ki wo aziyyat sham hoti thi to dar jate the hum aisi chikhen jo dilon ko bhed den har ghadi peshab or napak jism gila bistar raat ke pichhle pahar mein kapde pahnana us aise jism ko jo baith bhi sakta na ho aur us par jurm ka ehsas us rishte se jo hum sab ka tha us jism se aaj jab khali hai wo kona to sach-much lag raha hai mar ke wo zindon mein shamil ho gaya aur us ki maut se hum sab bhi shayad