marhum aur mahrum

By zubair-ali-tabishNovember 30, 2020
meri hayat ye hai aur ye tumhaari qaza
ziyaada kis se kahun aur kis ko kam bolo
tum ahl-e-khana rahe aur main yatim hua
tumhaara dard bada hai ya mera gham bolo


tumhaara daur tha ghar mein bahaar hansti thi
abhi to dar pe faqat ranj-o-gham ki dastak hai
tumhaare sath ka mausam bada hasin raha
tumhaare baad ka mausam bada bhayanak hai


hazaron qarz the mujh par tumhaari ulfat ke
mujhe wo qarz chukane ka mauqa to dete
tumhaara khun mere jism mein machalta raha
zara se qatre bahane ka mauqa to dete


bade sukun se tum so gae wahan ja kar
ye kaise nind tumhein aa gai nae ghar mein
har ek shab main faqat karwaten badalta hun
tumhaari qabr ke kankar hon jaise bistar mein


main bojh kandhon pe aise utha ke chalta hun
tumhaara jaise janaza utha ke chalta tha
yahan pe meri pareshani sirf meri hai
wahan koi na koi kandha to badalta tha


tumhaari sham-e-tamanna bas ek raat bujhi
charagh meri tawaqqoa ke roz bujhte hain
main sans lun bhi to kaise ki meri sanson mein
tumhaari dubti sanson ke tir chubhte hain


main jab bhi chhuta hun apne badan ki mitti ko
to lams phir usi thande badan ka hota hai
libas roz badalta hun main bhi sab ki tarah
magar khayal tumhaare kafan ka hota hai


bahut tawil kahani hai meri hasti ki
tumhaari maut to ek mukhtasar fasana hai
wo jis gali se janaza tumhaara nikla tha
usi gali se mera roz aana jaana hai


main koi rah hun tum rah dekhne wale
ki muntazir to mara par na intizar mara
tumhaari maut meri zindagi se behtar hai
tum ek bar mare main to bar bar mara


28922 viewsnazmEnglish