marhum

By manoj-azharNovember 5, 2020
kabhi taswir se bahar nikal kar bol bhi uttho
hamesha ek sa chehra liye kyun takte rahte ho
zara honton ko jumbish aur lafzon ko rihai do
akela pad gaya hun main zara meri safai do


man aksar meri khansi par tumhaara dhoka khati hai
ye bad ki meri ek aadat tumhaari si batati hai
tumhaari yaad aati hai
kabhi puchho ki itni raat ko kyun ghar main aata hun


kabhi danto ki main is tarah kyun paise udata hun
jinhen tum tokte the main wo sare kaam karta hun
tumhaara nam karne se raha badnam karta hun
main ek hotel mein cigarette pi raha hun tum dikhai do


main rutha hun mera kandha chhuo
phir muskurao aur khane par bula lo
mujhe dar lag raha hai aaj
mujh ko apne bistar par sula lo


main is mele mein chal kar thak gaya hun
apne kandhe par bitha lo
qadam phir ladkhadate hain
mujhe ungli do girta hun sambhaalo


mujhe sar-dard hai sar chhu ke
apne lams ki umda dawai do
main phir se pas ho kar aa gaya hun thapthapao
tu aakhir mera beta hai kaho man ko chidhao


mujhe phir se usi halwai ki la kar mithai do
suno ab log aksar puchhte hain
kis ke bete ho
tumhaara nam leta hun


to wo 'marhum' kahte hain
magar nadan hain wo
bap bhi marhum hota hai
13957 viewsnazmEnglish