mashwara

By rahmat-amrohviJune 30, 2021
uthle pani mein guhar mat dhundo
raegan jaegi mehnat sari
uthle pani ki taraf mat dekho
sang-rezon ke siwa kya hoga


yun khade dur se kya takte ho
bahr ki tah mein nihan hain moti
durr-e-maqsud hain gahrai mein
ho jo ghawwas to tah tak pahuncho


ya to gharqab hi ho jaoge
warna le aaoge chun kar moti
39654 viewsnazmEnglish