mujhe ye dar hai kisi aaftab ki garmi teri nazar ke hazar aainon ko tod na de mujhe ye wahm kisi mahtab ki thandak lahu se garmi-e-fikr-o-amal nichod na le tu apni zat se khud chashma-e-ada-o-sada tujhe jahan ki hawaon ke rukh se kya nisbat tu apne-ap hi khud anjuman hai khud hi charagh hujum-e-halqa-ba-goshan se tujh ko kya nisbat ye rasta nahin wo jis pe tu thahar jae yahan se jald guzar aks-e-mehr-o-mah ki tarah yahan pe koi ruka hai to khar-e-rah ki misal yahan pe koi ruka hai to gard-e-rah ki tarah jo aastan ho use sang-e-dar ka gham kaisa jo khud safar ho use rahguzar ka gham kaisa jo khud yaqin ho use wahm-e-intizam se kya jo khud hi mai ho use mai-kade ke nam se kya