mata-e-alfaz

By zehra-nigaahDecember 10, 2020
ye jo tum mujh se gurezan ho meri baat suno
hum isi chhoti si duniya ke kisi raste par
itifaqan kabhi bhule se kahin mil jaen
kya hi achchha ho ki hum dusre logon ki tarah


kuchh takalluf se sahi thahar ke kuchh baat karen
aur is arsa-e-akhlaq-o-murawwat mein kabhi
ek pal ke liye wo saat-e-nazuk aa jae
nakhun-e-lafz kisi yaad ke zakhmon ko chhue


ek jhijakta hua jumla koi dukh de jae
kaun jaanega ki hum donon pe kya biti hai
is khamoshi ke andheron se nikal aaen chalo
kisi sulge hue lahje se charaghan kar len


chun len phulon ki tarah hum bhi mata-e-alfaz
apne ujde hue daman ko gulistan kar len
chun len phulon ki tarah hum bhi mata-e-alfaz
daulat-e-dard badi chiz hai iqrar karo


neamat-e-gham badi neamat hai ye izhaar karo
lafz paiman bhi iqrar bhi izhaar bhi hain
taqat-e-sabr agar ho to ye gham-khwar bhi hain
hath khali hun to ye jins-e-giran-bar bhi hain


pas koi bhi na ho phir to ye dildar bhi hain
hath khali hon to ye jins-e-giran-bar bhi hain
ye jo tum mujh se gurezan ho meri baat suno
ye jo tum mujh se gurezan ho meri baat suno


13329 viewsnazmEnglish