maulana abul-kalam ka janaza dekh kar

By prem-lal-shifa-dehlviJanuary 27, 2022
kis ko le kar ja rahe hain aaj yun nauha-kunan
ro rahe hain aaj kis ko mulk ke pir-o-jawan
sar-nigun kis ke liye hai hind ka qaumi nishan
nash se lipta hai kis ki parcham-e-hindostan


kis liye hai aaj sina-chaak dilli ki zamin
hind ka ye dil banega kis amanat ka amin
wo imam-ul-hind wo mard-e-khuda rukhsat hua
jang-e-azadi ka apni peshwa rukhsat hua


rahnumaon ka hamare rahnuma rukhsat hua
dil pe karti thi asar jis ki sada rukhsat hua
sat din pahle bhi tha taqrir mein kitna asar
tuti-e-hindostan ko kha gai kis ki nazar


ye zamin-e-hind hai is mein bahut honge adib
is ki mitti mein mohabbat hai bahut honge habib
gaenge hubb-e-watan ke rag lakhon andalib
aur mil jaenge amraaz-e-siyasat ke tabib


ek hasti mein tamam ausaf kyunkar paenge
ab kahan se bul-kalam-azad jaisa laenge
zindagi mein marne wale ki koi paigham hai
be-gharaz be-laus khidmat ki sala-e-am hai


nekiyon ka aaqibat mein nek hi anjam hai
hai yahi insaniyat baqi khuda ka nam hai
ai 'shifa' insan wo hai jo ho mar kar nek-nam
zindagi mein to sabhi rakhte hain khud ko shad-kaam


25606 viewsnazmEnglish