mujahidin-e-watan mein shumar un ka hai har ek qaul-o-amal yaadgar un ka hai hai yaad qaum ko wo dastan shujaat ki chalai aap ne tahrik jab khilafat ki wo hurriyat ka parastar qaum ka rahbar khuda ne qaum ko aisa ata kiya jauhar wo qaid-o-band ki jheli hain sakhtiyan jis ne udain jabr-o-ghulami ki dhajjiyan jis ne wo ahl-e-dard-o-sukhnawar wo be-misal khatib siyasiyat ka mahir sahafi aur adib mohammad aur ali ka hai faiz-e-ruhani ki un ka nam jahan mein rahega la-fani