mausam

By kanwal-pradeep-mahajanFebruary 27, 2024
sham ke sahme hue lamhat
band si bojhal faza
sabz patte darakhton pe
yun jaise


sog mein aae baithe hon
aise chup-chap
kisi larzish se begane
sar-nigun jaise


ek hujum-e-gunah-garan ho
din-bhar ke safar se thak kar
suraj
kho kar apni tabani


ek be-jaan se rahi ki tarah
lautta hai
apne ghar ke aangan mein
gard se aalud faza


dard se bojhal sansen
ruk bhi jaen agar
to koi ziyan kya hoga
35151 viewsnazmEnglish