mazdur be-chaara

By hindi-gorakhpuriiOctober 31, 2020
hota nahin dam-bhar bhi sukun us ko gawara
jis khatir-e-betab ki fitrat hi hai para
mazlum ki fariyaad se jal jaega aalam
sad-shoala-ba-daman hai un aahon ka sharara


gham-didon ko de aish-o-tarab aur ata kar
taj-e-sar-e-sultani-e-taimur gada-ra
garma de ragen us ki imarat ke lahu se
jis hasti-e-be-maya ka ghurbat hai sahaara


takhrib ke bandon ko bas ab ho nahin sakti
insan ki insan se tafriq gawara
paband sahi dahr mein aain-e-jahan ke
piran-e-kalisa ka hai kya us mein ijara


tahzib-o-tamaddun hain imarat ke sahaare
mazdur ki ghurbat ka nahin koi sahaara
85704 viewsnazmEnglish