mazdur ki zindagi

By shatir-hakeemiNovember 20, 2020
dopahar ka waqt garma ki hawaen tez-tar
mehr ki tabish se pighle ja rahe hain dasht-o-dar
garm hai nahron ka pani sard hai nabz-e-bahaar
khushk patte jeb-o-daman kar rahe hain tartar


jal raha hai sabza-e-be-rang farsh-e-khak par
bhun raha hai dhup ki tezi se geti ka jigar
tund jhonke aa rahe hain daman-e-kohsar se
sar-zamin-e-rang-o-bu par aag barsate hue


jaanwar sab mare mare phir rahe hain khet mein
jaise koi karwaten leta ho tapti ret mein
hae wo mazdur jis ke pae himmat par nisar
sang-dil sarmaya-dari ka sar-e-na-paedar


jis ke bal-bute pe itraati hai laila-e-zamin
jis ki haibat se laraz jata hai charkh-e-ambarin
dubti nabzon mein daudata hai jo khun-e-hayat
jis ke dam se jagmaga uthti hai bazm-e-kaenat


jis ki nazron se chamakta hai tamaddun ka shabab
sar-nigun hai jis ke aage ahd-e-nau ka aaftab
ho nahin sakta ki wo aaram le din ko kabhi
kufr hai mazhab mein us ke kahili ki zindagi


zindagi kya maut se darta nahin mard-e-hazin
phir bhi is duniya mein koi puchhne wala nahin
aaj bhi hai is bala ki dhup mein masruf-e-kar
go mahall-e-aish mein bad-mast hai sarmaya-dar


kya khada takta hai surat ahd-e-hazir ke jawan
han mita de dushman-e-insaf ka nam-o-nishan
85252 viewsnazmEnglish