gard chehre par pasine mein jabin dubi hui aansuon mein kuhniyon tak aastin dubi hui pith par naqabil-e-bardasht ek bar-e-garan zoaf se larzi hui sare badan ki jhurriyan haddiyon mein tez chalne se chatakhne ki sada dard mein dubi hui majruh takhne ki sada panw mitti ki tahon mein mel se chikte hue ek badbu-dar maila chithada bandhe hue ja raha hai jaanwar ki tarah ghabraata hua hanpta girta larazta thokaren khata hua muzmahil wamandgi se aur faqon se nidhaal chaar paise ki tawaqqoa sare kumbe ka khayal apne ham-jinson ki be-mehri se mayus-o-malul safha-e-hasti par ek satr-e-ghalat harf-e-fuzul apni khilqat ko gunahon ki saza samjhe hue aadmi hone ko lanat aur bala samjhe hue zindagi ko nagawar ek saneha jaane hue bazm-e-kibr-o-naz mein farz apna pahchane hue raste mein rahgiron ki nazar se be-niyaz shorish-e-matam se naghmon ke asar se be-niyaz us ke dil tak zindagi ki raushni jati nahin bhul kar bhi us ke honton par hansi aati nahin ek lamha bhi nahin fikr-e-maishat se najat subh ho ya sham hai tarik us ki kaenat dekh ai qarun-e-azam dekh ai sarmaya-dar na-muradi ka muraqqa be-kasi ka shahkar go hai teri hi tarah insan magar maqhur hai dekh ai daulat ke andhe sanp ye mazdur hai